policeghar

Aisa mera ghar hai
koi na hasta aata
jb bhi aaye koi sandesa
dukh khabar hi sunata

kabhi kahi kuch chuta unka
kabhi loot koi jaata
kabhi lootati kamai uski
kabhi ijjat paani ganwata
har koi rote rote aata
khota muh hi lata

aisa mera ghar hai
koi na hasta aata

na sansadiya bhasha
na vyavhaar
har kisi ki majboori
chahe katil ya munsafdaar

shakti hai milti bharmaar
nibhaye hum bhi sare daromdar
kathin parishram kiya bahot
fir bhi pat hua siyaar
waise to koi bulaye na
to kar lete nashta udhaar
aise ghar me bhi
hum haste barambaar

aise mera ghar hai
koi na aata dene hasi udhaar
takleefo me sathi unke
tyoharo me rakhwale hum
khushiyon me nazar ka teeka
kismat ke kamwale hum
kuch kamjoori humari hai
raahi ki majbiori nyaari hai
har baat ka kuch tod hai
paisa lena ab shayaf jod hai


kahte ab ghar wale
kisko le kisko de
sab majboori wale hai
de ke hum bhi aaye hai
ab hum hi lene wale hai


ghar mera hasta hai
in gunaaho k beech me
saikadon me hum do rakshak hai
in ghar walo ke beech me
aise me ghar ki takat samjho
tum bhi apna kartab samjho
hum danda nhi uthayeng
bin baat barish ki aafat samjho


aisa mera ghar hai
aisa mera ghar hai

Comments

Popular Posts