technically, AAP bhi videos aur slogans k mamle me humare desh ki buddhajiwi aur buzurg catagory me aa rhi parties se peeche nahi hai. waise to humara vote political party se narajagi jatane ka ek tareeka hai aur kisi naye se umeed janate ka aujaar. pahle se ye ki aap ummeed pe khare nahi utare to rejection aur naye ya dusre se ki aap se ummeedein hai humare bhale ki. to chaliye aapko hi mauka de kr dekhte hai.

AAP ne bhi apni party ka acronym soch ke rakha hai...itni der me hi maine na jane kitni baar 'aap' ka jikr kar diya. main Kejriwal ko jeetate dwkhna chahti hun dilli me. Kejriwal kyu? Kejriwal diili ko "Modi" lahje me ummeed dene me safal hue hai..dilli ko lagta hai ki wo aur sabse kuch alag karenge. ye bharosa ki wo alag kar sakte hai se karenge me tabdeel kiya unke 49 days ke karyakaal ne. jiske baare me unhone aadhi janta ko pahade jaisa rata diya hai baar baar bol ke. Hai kuch jo hum chahte hai aur dilli ko de sakte hai. Is baare me main kuch nahi bolungi. Media ke through aap sab tak ye baatein 24*7 pahuchti rahti hai, is bahas ke bahar ki wo kitni factually correct hoti hai aur kitni banayi jati hai apne vested interest me. 
Par main jab bhi Ravish kumar ka Blog( Nai sadak..main follow karti hun)ya Prime Time(NDTV) padhti aur dekhti hun to mere aur dilli k tammam logon ke is sir udhate vishwaas ko ek zor ka jhapad padta hai. ek vishwaas jaga hai shayad kuch accha ho, shayad kuch behtar ho. yr bharosa AAPke 49/days ke trailor se jaga hai..ab hum puri picture dekhna chahte hai.

Aapne silsila shuru kr diya hai ab dekhte hai anjaam-e-ulfat kya hoga.

Comments

Vichar kafi had tak similar hai apke, AAP voters se.
Vichar kafi had tak similar hai apke, AAP voters se.
DILLI ke voters se vichar zarur milte honge...kyuki baat bhi yahan Delhi election ki ho rahi hai.

aur janadesh bhi puri film dikhne ki mauka de chuka hai.

Popular Posts